Sunday, December 16, 2007

RAJA ALANKARAM 1 DEC 15 2007

Posted by Picasa

1 comment:

ravinder said...

Gayatri Mantra

Om Bhur Bhuvah Svah;
Om Tat Savitur Varenyam Bhargo Devasya Dhimahi;
Dhiyo yo nah prachodayat. Om.

Om Jai Jagdish Hare

Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagdish Hare,
Bhakt jenoke sangkat, Daas jenoke sangkat,
Kshen me door keren, Om Jai Jagdish Hare.
Jo dhyave phal pave, dukh binse manka,
Swami dukh binse manka,
Sukh sampati ghar ave x2 kasht mite tanka.
Om Jai Jagdish Hare
Maat Pita tum mere, sharan perhu mai kiski,
Swami sharan perhu mai kiski,
Tum bin aur na duja x2 aas keru mai kiski
Om Jai Jagdish Hare.
Tum Purn Parmatma, Tum antaryami,
Swami Tum antaryami,
Paar Brahm Parmeshwar x2 Tum sabke Swami
Om Jai Jagdish Hare.
Tum karuna ke sagar, Tum palan karta,
Swami Tum palan karta,
Mai murakh khal kami x2 Kripa kero Bharta
Om Jai Jagdish Hare.
Tum ho ek agochar, sabke pran pati,
Swami sabke pran pati,
Kis vidh milun Dayamay x2 Tumko mai gumti
Om Jai Jagdish Hare.
Deen Bandhu dukh harta, Thakur tum mere
Swami Rakshak Tum mere,
Apne hath uthao x2 duar perhi hun Tere
Om Jai Jagdish Hare.
Vishaya vikar mitao, paap hero Deva
Swami paap hero Deva,
Shraddha bhakti berhao x2 santanki sewa
Om Jai Jagdish Hare.

Shri Ramji Ki Aarti

Shri Ramchandra Kripalu bhaj man, haran bhav bhay darunam,
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Navkanj lochan, kanj mukh kar, kanj pad kanjjarunam,
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Kandrap agnit amit chavi, navneel neerad sundharam,
Patpeet maanahu tarhit ruchi suchi naumi Janak Suta varam.
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Shri Ramchandra Kripalu bhaj man, haran bhav bhay darunam,
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Bhaj Deenbandhu Dinesh Danav, Daitya vansh nikandanam,
Raghunand Aanandkand Kaushalchandra Dashrath Nandanam.
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Shri Ramchandra Kripalu bhaj man, haran bhav bhay darunam,
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Sir mukut kundal tilak caru udaar ang vibhushnam,
Aajaanubhuj shar caap dhar sangraamjit Khardushanam.
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Shri Ramchandra Kripalu bhaj man, haran bhav bhay darunam,
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Iti vadati Tulsidaas Shankar shesh muni man ranjanam,
Mam hridaya kanj nivaas kuru kamadi khal dal ganjanam.
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.
Shri Ramchandra Kripalu bhaj man, haran bhav bhay darunam,
Haran bhav bhay darunam, Shri Ram.

Jai Ganeshji Ki Aarti

Jai Ganesh x3 Deva, Mata Jaki Parvati, Pita Mahadeva
Ladhuan ka bhog lage, sant kere seva. Jai Ganesh x3 Deva
Mata Jaki Parvati, Pita Mahadeva.
Ek dant dayavant, char bhuja dhari,
Mastak sindur sohe, mooseki savari. Jai Ganesh x3 Deva
Mata Jaki Parvati, Pita Mahadeva.
Andhan ko aankh det, korhin ko kaya,
Banjhan ko putra det, nirdhan ko maya. Jai Ganesh x3 Deva
Mata Jaki Parvati, Pita Mahadeva.
Paan cherhe phool cherhe, aur cherhe meva,
Surshyam sharan aye sufal keejye seva. Jai Ganesh x3 Deva
Mata Jaki Parvati, Pita Mahadeva.


Lakshmi Ji Ki Aarti

Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata,
Tumko nishdin sevat, Har Vishnu Dhata.
Om Jai Lakshmi Mata.
Uma Rma, Brahmani, (Tum hi jag mata (Maiya) x2)
Surya Chandrama Dhyavat, Narad Rishi gata.
Om Jai Lakshmi Mata.
Durga roop niranjni, (sukh sampati data (Maiya) x2)
Jo koyi Tumko dhyavat, ridhi-sidhi dhan pata.
Om Jai Lakshmi Mata.
Tum patal nivasini, (Tum hi shubh data (Maiya) x2)
Karm prabhav prakashini, bhav nidhi kit rata.
Om Jai Lakshmi Mata.
Jis gharme Tum rehti, (theh sab sadgun aata (Maiya) x2)
Sab sambhav hojata, man nahi ghabrata.
Om Jai Lakshmi Mata.
Tum bin yaghya na hote, (bart na ho pata (Maiya) x2)
Khaan-paan ka vaibhav, sab Tumse aata.
Om Jai Lakshmi Mata.
Shubh gun mandir sundar, (ksheerodedhi jata (Maiya) x2)
Ratan chaturdash Tum bin, koyi nahi pata.
Om Jai Lakshmi Mata.
Mahalakshmiji ki aarti,(jo koyi jan gata (Maiya) x2)
Ur anand samata , paap utar jata.
Om Jai Lakshmi Mata.

Satnarayanji Ki Aarti

Jai Shri Lakshmi Ramana x2
Satyanarayan Swami, jan patak harna.
Jai Shri Lakshmi Ramana
Ratn jerhit singhasan, (adbhut chavi raje (Swami)x2
Narad karat nirajan, ghanta dhvani baje.
Jai Shri Lakshmi Ramana
Prakat bhaye kalikaran, (dyij ko darshan diyo (Swami) x2
Burho Brahman banke, kanchan mahal kiyo.
Jai Shri Lakshmi Ramana
Durbal bheel karaal, (jinper kripa keri (Swami) x2
Chandra Churh ik raja, tinki vipti hari.
Jai Shri Lakshmi Raman
Vaishya manorath paya, (shraddha taj dinhi (Swami) x2
So phal bhogyo Prabhuji, phir astuti keenhi.
Jai Shri Lakshmi Ramana
Bhav bhakti ke karan, (chin-chin roop dharyo (Swami) x2
Shraddha dharan kini, tinko kaaj saryo.
Jai Shri Lakshmi Ramana
Gwal-baal sang raja, (van me bhakti keri (Swami) x2
Manvanchit phal dinho, Deen Dayal Hari.
Jai Shri Lakshmi Ramana
Charhat Prasad sevayo, (kadli phal meva (Swami) x2
Dhoop deep tulsi se, raji Satya Deva.
Jai Shri Lakshmi Ramana
Shri Satyanarayanji ki aarti, (jo koyi nar gave (Swami) x2
Bhagatdaas manvanchit, such sampati pave.
Jai Shri Lakshmi Ramana

Shri Shivji Ki Aarti

Jai Shiv Omkara, Har Shiv Omkara,
Brahma Vishnu Sedashiv, ardhangi dhara.
Ekanan chaturanan panchanan saje,
Hansanan garhurasan vrishvahan saje.
Do bhuj char chaturbhuj, dash bhuj te sohe,
Teeno roop nirakhta, tribhuvan jan mohe.
Akshmala banmala, rundhmala dhari,
Kandan mrigmad lochan, bhale shashidhari
Svetambar pitambar, baghambar ange,
Sankadik Brahmadi Bhutadik sange.
Ker madhye kamandhalu, charka trishul dharta,
Jagkarta jagharta, jagpalan karta.
Brahma Vishnu Sedashiv, janat aviveka,
Pranvakshar ke madhye, yeh teeno eka.
Trigun Shivji ki aarti, jo koyi nar gave,
Kahat Shivanand Swami, manwanchit phal pave.

Shivratri ki Aarti

Aagyi Mahashivratri padharo Shankarji,
Ho padharo Shankarji, Aarti utare paar
Utaro Shankarji, ho utaro Shankarji
Tum nayan nayanme ho man man me dham tera.
He Neelkanth hai kanth kanth me naam tera,
Ho Devon ke Dev jagat ke pyare Shankarji.
Tum raj mahal me, Tum hi bikhari ke ghar me,
Dharti per tera charan mukut hai ambar pe.
Sansar Tumhara ek hamare Shankarji,
Tum duniya besa kar bharam ramane wale ho.
Papi ke bhi rakhwale bhole bhale ho,
Duniya me bhi do din to gujaro Shankarji.
Kya bhent cherhaye tan maila ghar suna hai,
Le lo aansoo ke gangajal ka namuna hai.
Aakerke nayan me charan pakharo Shankarji.

Shri Ramayanji Ki Aarti

Aarti Shri Ramayanji ki.
Gavat Bramadik Muni Narad, Balmeek vigyan visharad,
Shuk Sankadi Shesh aru Sharad, barni Pavansut keerti neekee.
Gavat Ved Puran ashtdas, chaho shashtra sab granthan ko ras,
Muni man dhan santan ko sarbas, saar ansh sammat sabhi ki.
Gavat santat Shambhu Bhavani, aru ghat sambhav muni vigyani,
Vyas aadi kavibarj bakhani, Kaagbhushundi Garudh ke hi ki.
Kalimal harni vishaya ras phiki, subhag singaar mukti jubti ki,
Dalan rog bhav moori amee ki, taat maat sab vidhi Tulsi ki..

Shri Ambaji Ki Aarti

Jai Ambe Gouri, Maiya Jai Shyama Gouri
Tumko nishdin dhyavat, Hari Brahma Shivji.
Maang sindoor virajat, tiko mrigmad ko,
Ujjval se dou naina, Chandra vadan neeko.
Kanak samaan kalewar, raktaambar raje,
Rakt pusshp gal mala, kanthan per saaje.
Kehari vagan rajat, kharhg khappar dhari,
Sur nar muni jan sevat, tinke dukh haari.
Kaanan kundal shobhit, nasagreh moti,
Kotik Chandra divakar, raajat sam jyoti.
Shumbh-Nishumbh vidare, Mahishasur ghati,
Dhroom-vilochan naina, nishdin madmaati
Chandh-mundh sanghaare, shounit beej hare,
Madhu Ketambh dou mare, sur bhayheen kere.
Brahmani Rudrani, Tum Kamla Rani,
Agam-nigam bakhani, Tum Shiv patrani.
Chousath yogini gaavat, nritya karat Bheron,
Baajat taal mridangga, aur baajat dhamroo.
Tum hi jag ki Mata, Tum hi ho Bharta,
Bhaktan ki dukh harta, sukh sampati karta.
Bhuja char ati shobhit, var-mudra dhari,
Manwachit phal paavat, sevat nar-nari.
Kanchan thal virajat, agar kapoor bati,
Shri Maalketu me rajat, kothi rattan jyoti.
Ma Ambeji ki aarti, jo koyi nar gave,
Kahat Shivanand Swami, sukh sampati pave.

Durga Chalisa

Namo namo durge sukh karani, Namo namo ambe dukh harani;
Nirakar hai jyoti tumhari, Tihoun lok phaili oujiyari;
Shashi lalat mukh maha vishala, Netra lal bhrikoutee vikarala;
Roop matou ko adhik souhave, Darsha karata jana ati soukh pave;
Toum sansar shakti laya keena, Palana heytu anna dhan deena;
Annapoorna houi jag pala, Tumhi adi sundari bala;
Pralayakala sab nashana hari, Toum gowri shiv shankar pyari;
Shiv yogi tumhre gun gavein, Brahma vishnu tumhein nit dhyavein;
Roop saraswati ko toum dhara, Dey subuddhi rishi munina ubara;
Dharyo roop narsimha ko amba, Pragat bhayi phar kar khamba;
Raksha kari prahlad bachayo, Hiranyayksh ko swarga pathayo;
Lakshmi roop dharo jag mahin, Shree narayan anga samahin;
Ksheer sindhu mein karat vilasa, Daya sindhu deejey man asa;
Hingalaja mein toumhi bhavani, Mahima amit na jat bakhani;
Matangi dhoomawati mata, Bhuvaneshwari bagala sukhdata;
Shree bhairav tara jag tarani, Chhinna bhala bhava dukh nivarini;
Kehari vahan soha bhavani, Langour veer chalata agavani;
Kar mein khappar khadga virajey, Jako dekh kal dar bhajey;
Sohe astra aur trishula, Jase outhata shatru hiya shoola;
Nagarkot mein toumhi virajat, Tihoun lok mein danka bajat;
Shumbh nishumbh danuj toum mare, Rakta beej shankhana sanghare;
Mahishasur nrip ati abhimani, Jehi agh bhar mahi akoulani;
Roop karal kalika dhara, Sen sahita toum tin samhara;
Pari garh santana par jab jab, Bhayi sahay matou toum tab tab;
Amarpuri aru basav loka, Tab mahima sab rahey ashoka;
Jwala mein hai jyoti toumhari, Toumhein sada poojey nar nari;
Prem bhakti se jo yash gave, Dukh daridra nikat nahin ave;
Dhyave toumhein jo nar man layi, Janma maran tako chhouti jayi;
Jogi sur muni kahat poukari, Jog na ho bina shakti toumhari;
Shankara acharaj tap ati keenho, Kam krodh jeet sab leenho;
Nishidin dhyan dharo shankar ko, Kahou kal nahin soumiro toumko;
Shakti roop ko maram na payo, Shakti gayi tab man pachitayo;
Sharnagat houyi kirti bakhani, Jai jai jai jagadamba bhavani;
Bhayi prasanna adi jagadamba, Dayi shakti nahin keen vilamba;
Maukon matou kashta ati ghero, Toum bin kaun harey dukh mero;
Asha trishna nipat satavein, Moha madadik sab binshavein;
Shatru nash kijey maharani, Soumiron ikchit toumhein bhavani;
Karo kripa hey matou dayala, Riddhi siddhi dey karahou nihala;
Jab lagi jiyoun daya phal paoun, Toumhro yash mein sada sounaoun;
Durga chalisa jo nar gavey, Sab soukh bhog parampad pavey;
Devidas sharan nij jani, Karahoun kripa jagadamba bhavani

Shri Hanuman Chalisa

Shri Guru Charan Saroj Raj, Nij mane mukure sudhar
Varnao Raghuvar Vimal Jasu, Jo dayaku phal char
Budhi Hin Tanu Janike, Sumirau Pavan Kumar
Bal budhi Vidya dehu mohe, Harahu Kalesa Vikar
Jai Hanuman gyan gun sagar, Jai Kapis tihun lok ujagar
Ram doot atulit bal dhama, Anjani-putra Pavan sut nama
Mahavir Vikram Bajrangi, Kumati nivar sumati Ke sangi
Kanchan varan viraj subesa, Kanan Kundal Kunchit Kesa
Hath Vajra Aur Dhuvaje Viraje, Kandhe moonj janehu sajai
Sankar suvan kesri Nandan, Tej pratap maha jag vandan
Vidyavan guni ati chatur, Ram kaj karibe ko aatur
Prabu charitra sunibe ko rasiya, Ram Lakhan Sita man Basiya
Sukshma roop dhari Siyahi dikhava, Vikat roop dhari lanka jarava
Bhima roop dhari asur sanghare, Ramachandra ke kaj sanvare
Laye Sanjivan Lakhan Jiyaye, Shri Raghuvir Harashi ur laye
Raghupati Kinhi bahut badai, Tum mam priye Bharat-hi sam bhai
Sahas badan tumharo yash gave, Us kahi Shripati kanth lagaave
Sankadik Brahmadi Muneesa, Narad Sarad sahit Aheesa
Yam Kuber Digpal Jahan te, Kavi kovid kahi sake kahan te
Tum upkar Sugreevahin keenha, Ram milaye rajpad deenha
Tumharo mantra Vibheeshan mana, Lankeshwar Bhaye Sub jag jana
Yug sahastra jojan par Bhanu, Leelyo tahi madhur phal janu
Prabhu mudrika meli mukh mahee, Jaladhi langhi gaye achraj nahee
Durgaam kaj jagat ke jete, Sugam anugraha tumhre tete
Ram dware tum rakhvare, Hoat na agya binu paisare
Sub sukh lahai tumhari saran, Tum rakshak kahu ko dar na
Aapan tej samharo aapai, Teenhon lok hank te kanpai
Bhoot pisach Nikat nahin aavai, Mahavir jab naam sunavai
Nase rog harai sab peera, Japat nirantar Hanumant beera
Sankat se Hanuman chudavai, Man Karam Vachan dyan jo lavai
Sub par Ram tapasvee raja, Tin ke kaj sakal Tum saja
Aur manorath jo koi lavai, Sohi amit jeevan phal pavai
Charon Yug partap tumhara, Hai persidh jagat ujiyara
Sadhu Sant ke tum Rakhware, Asur nikandan Ram dulhare
Ashta sidhi nav nidhi ke dhata, Us var deen Janki mata
Ram rasayan tumhare pasa, Sada raho Raghupati ke dasa
Tumhare bhajan Ram ko pavai, Janam janam ke dukh bisravai
Anth kaal Raghuvir pur jayee, Jahan janam Hari-Bakht Kahayee
Aur Devta Chit na dharehi, Hanumanth se hi sarve sukh karehi
Sankat kate mite sab peera, Jo sumirai Hanumat Balbeera
Jai Jai Jai Hanuman Gosahin, Kripa Karahu Gurudev ki nyahin
Jo sat bar path kare kohi, Chutehi bandhi maha sukh hohi
Jo yah padhe Hanuman Chalisa, Hoye siddhi sakhi Gaureesa
Tulsidas sada hari chera, Keejai Das Hrdaye mein dera
Pavantnai sankat haran, Mangal murti roop
Ram Lakhan Sita sahit, Hrdaye basahu sur bhoop.

Maha Mrityunjaya Mantra

Om trayambakam yajaamahe sugandhim pushtivardhanam
Urvaarukamiva bandhanaan mrityor muksheeya maamritaat.

Lord Vishnu

His Mantra is: Om Namo Narayanaya
Suklambharadharam visnum sasi varnam caturbhujam
Prasanna vadanam dhyayet sarvavighnopasantaye

NavGraha Chalisa

Shri Ganapati Gurupad Kamal Prem Sahit Shirnaya
NavGraha Chalisa Kahat, Sharad Houoo Sahay
Jai Jai Ravi Shashi Bhom Budh, Jai Guru Bhrigu Shani Raaj
Jayati Rahu Aroo Ketu Graha, Karhoo Anugraha Aaj

Surya Stuti

Pratamhi Ravi Kahan Navo Matha. Karhoo Kripa Jan Jaani Anatha
Hey Aditya Diwakar Bhanu. Main Mati Mand Maha Aghyanu
Aab Nij Jan Kaha Haroo Kalesha. Dinkar Dwadash Roop Dinesha
Namo Bhaskar Surya Prabhakar. Ark Mitr Agh Ogh Shamakar

Chandra Stuti

Shashi, Mayank Rajnipati, Swami. Chandra, Kalanidhi Namo Namami
Rakapati, Himanshu, Rakesha. Pranvat Jan Hit Haroo Kalesha
Som, Indu, Vidhu, Shanti Sudhakar. Sheet Rashmi, Aushdhi, Nishakar
Tumhi Shobhit Bhaal Mahesha. Sharan Sharan Jan Haroo Kalesha

Mangal Stuti

Jai Jai Jai Mangal Sukhdata. Lohit Bhomadit Vikhyata
Angarak Kuj Ruj Rinhari. Daya Karhoo Yahin Vinay Hamari
Hey Mahisut Chitisut Sukhrasi. Lohitang Jag Jan Aghnasi
Agam Amangal Mum Har Lije. Sakal Manorath Puran Kije

Budh Stuti

Jai Shashinandan Budh Maharaja. Karoo Sakal Jan Kaha Shubh Kaja
Dije Buddhi Sumti Bal Gyana. Kathin Hari Hari Kalyana
Hey Tarasut Rohini Nandan. Chandra Suvan Dukh Doori Nikandan
Poojhu Aas Das Kaha Swami. Pranvat Pal Prabhu Namo Namami

Vrihaspati Stuti

Jayati Jayati Jai Shri Guru Deva. Karo Sada Tumhro Prabhu Sewa
Devacharya Dev Guru Gyani. Indra Purohit Vidya Dani
Wachspati Wagis Udara. Jeev Vrihaspati Naam Tumhara
Vidya Sindhu Angira Nama. Karoo Sakal Vidhi Puran Kama

Shukra Stuti

Shukradev Tva Pad Jal Jata. Das Nirantar Dhyan Lagata
Hey Ushna Bhargav Bhrigunandan. Daitya Purhoit Dusht Nikandan
Bhrigukul Bhushan Dushan Hari. Haroo Neshta Graha Karoo Sukhari
Tuhi Pandit Joshi Dwijraja. Tumre Rahat Sahat Sab Kaja

Rahu Stuti

Jai Jai Rahu Gagan Pravasiya. Tum hi Chandraditya Grasiya
Ravi Shashi Ari Svbharnu Dhara. Shikhi Adi Bahu Nam Tumhara
Sahinkiye Nischachar Raja. Ardhkaya Tum Raakhoo Laja
Yadi Graha Samay Paye Kahoo Aavhoo. Sada Shanti Rahi Sukh Upjavhoo

Ketu Stuti

Jai Jai Ketu Kathin Dukhari. Nij Jan Hetu Sumangalkari
Dhwajytu Rund Roop Vikrala. Ghor Raudratan Adhman Kala
Shikhi Taarika Graha Balwana. Maha Pratap Na Tej Thikana
Vaan Meen Maha Shubhkari. Dije Shanti Daya Urdhari

NavGraha Shanti Phal

Tirathraj Prayag Supasa. Base Rame Ke Sundar Dasa
Kakra Gramhi Pure Tiwari. Durwashram Jan Dukh Hari
Navgraha Shanti Likhyo Sukh Hetu. Jan Tan Kashat Utaran Setu
Jo Nit Path Kare Chit Lave. Sab Sukh Bhogi Param Pad Pawe
Dhanya Navgraha Devprabhu, Mahima Agam Sudhar
Nit Nav Mangal Modh Griha, Jagat Jannan Sukhdwar
Yeh Chalisa Nawhoo Graha, Virchit Sundardas
Pahadt Prem Yut Bahadt Sukh, Sarvanand Hullas

Raja Alankaram 03 January 2025